Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Locked
Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Sat Nov 15, 2008 3:43 pm

Assalam o alaikum,

mujhe aap sab se ek kaam hai. Yeh meree demo site hai orignal aajkal server issue kee wajah se band hai. ise maiN ne aaj hee fantestico ke zariye se install kiyaa hai.

http://raji.freephphoster.com/joomla/

thoRaa bohat Joomla ke modules ke baare meN jaantee hooN aur kuch iske plugins ke baare meN

maiN is site ka header jahaN joomla ka logo aur banner hai badalnaa chahtee hooN. Yeh kaise mumkin hai?

yahaN par "Main Menu" text form meN hai aur iske ITEMS bhi Text hee heN. maiN yeh chahtee hooN keh iskee jaga Urdu IMAGES ke buttons dooN. yeh kis taraH se mumkin hai?

maiN tamaam articles UNICODE meN denaa chah rahii hooN yeh kaise mumkin hai?

is silsile meN madad ke liYe mamnoon rahoongii

wassalam

Raji

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Mon Nov 17, 2008 9:35 am

maiN apne kaam ko thoRaa bohat aage baRhaa chukii hoooN lekin aap kee madad ab bhi mujhe darkaar hai.
saath hee mujhe yeh bhi ma'aloom karna hai keh maiN yeh SafHaat ek web magazine ke liYe tarteeb de rahi hooN.
maiN yeh chahtee hooN keh archive monthly set hooN.
background meN maiN articles maKhSooS taareeKhooN meN publish karooN aur jaise hee publishing date aa jaaYe woh automatically pages ko display kare.
iske liYe kyaa tareeqa e kaar ho gaa.

agar muafassil bataeN tu bohat mamnoon hooNgii.

wassalam
Raji

User avatar
desibabu
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 26
Joined: Wed May 21, 2008 1:23 pm

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by desibabu » Wed Dec 17, 2008 12:34 pm

W'salam
Sab se pehle to aapko bohot bohot mubarak ho itni achi site tarteeb dene ke lye, and i must say aapka color selection bohot acha hai.

Ab aapki problems ki taraf, ab mujhe nahi pata ke aapne kya kuch kya hai site par aur kis cheez main madad chahye. Main khudh new jooma user hoon aur abhi thoda hi sikha hai par jitna ata hai utni to madad kar hi sakta hoon.
Let me know if you still need any help.
www.pcfixeren.com
Come 2geaather and serve the world

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Mon Dec 22, 2008 5:37 pm

desibabu ji
Aadaab,

Khat ke jawab ke liYe bohat shukriyah.
is waqt maiN apnii orignal site peh kaam kar rahii hooN.
URL hai www.urdugulban.net/urdu_international

go keh bohat saa kaam ab bhi baaqii hai lekin ek mah ke safHaat mukammal taur par tarteeb de chukii hooN aur chahatee hooN keh agle mah ke safhat bhi tarteeb dooN aur jaise hee 01st January aaYe woh pages automatically active ho jaheN aur maujoodah safHaat automatically archive meN move ho jaheN.
yeh kis taraH se mumkin hai???

doosrii baat yeh hai keh maiN ne ek aur test joomla meN ziyadah tar pages,
aur sections unpublished kiYe heN ab mujhe user login page dobarah visible karaana hai agar aap yeh bata deN keh kaise mumkin hai tu bohat mamnoon hooNgii.
woh test site hai
www.baask.com/home


madad aur rehnumayii ke liYe peshgii shukriyah.

wassalam
Raji

User avatar
desibabu
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 26
Joined: Wed May 21, 2008 1:23 pm

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by desibabu » Wed Dec 31, 2008 7:37 am

Hello Raji

I dont know if there are other options to do the same thing but i use article parameters. Us main ek selection hai start publishing and end publishing jahan par aap dates dal sakti hain so joomla will update its database to newer articles. older articles wont get archived but the will get unpublished and will remain in the list so that you can make changes later on if you want to bring them up again.

Aur rahi login page show karne ki take members need to login to get access to the hidden sections/ moduls then you have to change there access level from modules/ sections. Is tarah jis access level ko aap select kareen gi us type ke users ko access mile gi when they will log inn to their profile.

Good luck lady and write back if you need more her par PLZ thodi asan urdu coz i am not so good in Urdu. Asal main main hoon to Pakistani par pakistan se bahir rehta hoon is lye itni achi urdu nahi ati...
www.pcfixeren.com
Come 2geaather and serve the world

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Thu Jan 15, 2009 6:25 pm

Bohat shukriyah Janab.

is waqt meree pahlii site yanii http://urdugulban.net/urdu_international 50% mukammal hai aur doosrii site peh maiN ne default polls delete kar ke naya poll create kiyaa lekin woh visible naheeN ho raha aap pls is silsile meN kuch madad keejiye.
http://www.baask.com/home

Thanks in advance

Regards
Raji

User avatar
desibabu
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 26
Joined: Wed May 21, 2008 1:23 pm

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by desibabu » Mon Jan 19, 2009 8:29 am

Hello Raji
Sorry for a late reply but i was not i town so couldn't come online.

Well as i can see aapne old poll delete kar ke nya bana to dya lekin aapko naye poll ke lye poll module ko bhi modify karna pade ga.
Agar aap apni site ke backend main module manager main ja kar poll module main new poll ko select kareen gi to aapka poll activte ho ja'e ga.
AS per i can see you have only made a new poll in component and saved it but your module is still activated with old poll settings.

I hope it can halp, agar na ho to just let me know so i can see to it.
PS: One more thing, remember to upload pictures in your posts so humare lye asan ho ja'e ga madad karna...

Good luck
www.pcfixeren.com
Come 2geaather and serve the world

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Tue Jan 20, 2009 3:54 am

DesiBabu jawab ke liYe bohat shukriyah. Yeh mas,halah Hal ho gaya hai ab ek nayii muSeebat hai.
maiN ne WEB LINKS ke URLs change kiYe heN aur us se related Category ko bhi rename kiYa hai.
mujhe module aur plugin ke andar aisee cheez naheeN milee jis par keh WEB LINKS display karne yaa nah karne ka option ho.
Please help me out to resolve this issue.
I also want to change Advertisement, footer AD banner
site yeh hai
http://www.baask.com/home

aap ne taSveer bhi post karne ka kaha hai yeh baat mujhe samajh naheeN aaYIi hai aap kyaa site ke screen shot kee baat kar rahe heN?

Thanks in advance

Regards
Raji

User avatar
desibabu
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 26
Joined: Wed May 21, 2008 1:23 pm

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by desibabu » Tue Jan 20, 2009 8:12 am

Hello Raji
AM glad to know ke poll wala masla hall ho gya hai and its up and going.
Sab se pehle to i wuld lov to know ke konse web links ki baat kar rahe hain aap kyonke web links bohot se tariqoon se activate or deactivate kye ja sakte hain.
Sab se asan aur sahi tariqa menu main feed karna hota hai so shaed aapko bhi menu main ja kar changings karna pade.

Well about footer banner, joomla ke sare banner images/banner ke ander pade hain wahan par ja kar ya to aap picture ko change kar de aur jo picture lagana chahte hain woh laga leen ya phir template ke index.php aur css file main changing karni pade gi to remove link to banner file.

Yes mera matlb screen shots se hi tha, ya phir if you could give me access to your sites backend so i can see to problem much easier.
Good luck

regrds
Desibabu
www.pcfixeren.com
Come 2geaather and serve the world

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Tue Jan 20, 2009 11:58 am

Hi desibabu:

Thanks for your prompt response.

Jii maiN aap ko PM ke zariye se aap ka login ID aur password bata dooNgii.
aSl meN maiN yeh chahatee hooN keh problem Khud hee resolve kar sakooN taa keh aahindah mujhe madad kee zaroorat nah paRe.

screen shout kee jaga maiN direct link aap ko de rahii hotee hooN taa keh aap ko site peh naZar aane waalii aur nah nazar aane waalii cheezoN ka pata chale.
web links maiN menu item ke andar naheeN chah rahii balkeh jistaraH http://community.joomla.org/ kee site peh Quick link diyaa hoova hai us taraH se external sites ke link dena chah rahi hooN.

Regard
Raji

User avatar
desibabu
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 26
Joined: Wed May 21, 2008 1:23 pm

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by desibabu » Tue Jan 20, 2009 1:10 pm

Hello Raji

You are welcome dear
hmmm quick link banane ke bohot se tariqe hain jese ek new menu bana kar us main modules main external links select kar ke links rakh do but if you go to my site www.pcfixeren.com, under demo sites i just made a new module called "custom HTML" aur us main links rakh dye hain so that i shows like quick links. There would be many other ideaz like using xml and rss but it the links are gonna be there for long time and there will not be any changes to phir custom HTML wala tariqa use kar sakti hain.

Good luck
www.pcfixeren.com
Come 2geaather and serve the world

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Wed Jan 21, 2009 6:20 pm

Assalam o alaikum,

ji maiN ne aap ka account bana diYaa hai aur aap meree Joomla site www.baask.com/home peh login ho sakte heN.
ji maiN menu ITEm ke zariye se weblinks bana saktee hooN aur kuch menu item pehle se ban chuke heN.
aSl meN is waqt tamaam cheezeN left side peh display ho rahi heN right side peh AD aur Poll hee Sirf naZar aa rahe heN kyaa maiN yahaN apnii marZii se cheezeN add kar saktee hooN.

ek baat aur maiN ek book apnii site meN add karna chah rahii hooN.
maiN ne menu ITEM book1 ke naam se create kiYaa hai aur article manager ke zariYe se ek article BALOCH SYAHAG O NIBISSAG bhi daalii hai lekin page wise set karna naheeN aa raha.
us article meN mujhe jo SafHaat add karne heN woh yahaN se insert image ke through karne heN.
http://www.baask.com/balochi_book1/

Thanks & regards,

Raji

User avatar
desibabu
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 26
Joined: Wed May 21, 2008 1:23 pm

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by desibabu » Thu Jan 22, 2009 12:08 pm

Hei Raji
Thanx for login info, and to tell you the truth now i know much better what you are looking for.
About your module possitions to unhe aap apni marzi se change kar sakti hain module ko edit kar ke or can add new module possitions by changing index page of your template so yeh zyada mushkil nahi hoga.

And about your book to uske lye main flipping book ka hi kehne wala tha jo aapne install to kya hai but use nahi kya. Us main sari pictures to add kar ke book ke taur par tarteeb de leen.
Aapki site par koi bhi menu nahi hai jo is book ke lye ho so maybe just making a new entry in a menu aur us main component flipping book use kareen aur us book main apni pictures rakh deen. Remember to select a size jis main tehreer ko sahi tarah se padha ja sake..

Maine kuch arsa pehle ek book banai thi ese hi site par but it is not online now but good choice of component. Login info sirf isi lye chahye thi ke main dekh sakoon site main kya kya available hai baqi use kis tarah use karna hai aap ko bata doon ga take next time se aapko pata ho.

Good luck and let me know agar aur madad chhaye hoi to...
www.pcfixeren.com
Come 2geaather and serve the world

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Thu Jan 22, 2009 2:59 pm

desibabu jii, Aadaab,

www.baask.com/home peh top menu meN book se link karne ke liYe menu item maujood hai. "Balochi syahag o nibissag" aap directly is ke zariye se bhi jaa sakte heN.

http://baask.com/home/index.php?option= ... &Itemid=66

yahaN par book size bohat kam hai jabkeh mere scan kiYe hoove pages standard size meN heN. ab aap yeh batahiYe keh un pages ko is book meN adjust karne ke liYe book ka size maiN kahaN se set kar saktee hooN?


Thank n regards,
Raji

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Fri Jan 23, 2009 6:55 am

agar waqt mile tu oopar diYe hoove sawal ka jawab dene ke saath saath azra e karam is cheez ko bhi dekh! leejiye keh kyoN yeh homepage par weblinks display naheeN ho rahe aur menu item ke zariyeh se in items ko link naheN kiyaa jaa raha

http://baask.com/home/administrator/ind ... m_weblinks

thanks in advance.

User avatar
desibabu
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 26
Joined: Wed May 21, 2008 1:23 pm

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by desibabu » Fri Jan 23, 2009 7:25 am

Salam there
Sorry i couldn't reply yesterday coz of my extra work load but yes i am back now. I have tested flippingbook once and must say this is a very good component but i tested only demo version and i dont know even you are jusing demo or full version.
Kher use karne ka tariqa...
Go to your sites backend and click on flippingbooks under components.
In manage categories: make a new category
In manage books: make a new book and link it to category u made over
in manage files: upload all your book files with specific name under images/flippingbook so that you can recongnize them easy
When it is done then go to manages pages and create all pages one by one, jab ise complete kareen gi to aapki book bhi publish ho ja'e gi.

Under manage pages main zoom option di hoi hai wahan 640x480 pxl feed kar deen to it will work like charm.

good luck
www.pcfixeren.com
Come 2geaather and serve the world

User avatar
desibabu
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 26
Joined: Wed May 21, 2008 1:23 pm

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by desibabu » Fri Jan 23, 2009 7:43 am

Hei Raji

Aapne weblinks feed to kar dye par display karne ke lye uhne publish karna bohot zaroori hai. Yeh karne ke lye aapko menu(s) ke under jis menu main publish karne hain us main ja kar new click kareen aur phir web links main se web links layout selelct kar ke use ek naam de kar save kar deen to woh publish ho ja'e ga.
Esa karne ke lye maine ek test weblinke item banaya hai under usermenu but it is not published yet so aap use change kar sakti hain. Agar weblinks kisi aur jagah dene hain to phir aapko new menu banana pade ga aur module ko set karna pade ga...

Good luck
www.pcfixeren.com
Come 2geaather and serve the world

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Sat Apr 25, 2009 5:23 am

Thanks desibabu ji:

yeh problem tu resolve ho gayii.
ab ek aur cheez meN madad chahiye.
maiN forum smf ka use kar rahii hooN.
Homepage joomla ka
pahla issue in donooN ko integrate karne ka hai yeh kaise kareNge?
phpFreeChat use karna chah rahii hooN smf aur joomla ke saath at a time, yeh kaise possible hai?

Looking forward for your prompt response.

With regards
Raji

sibtain
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 35
Joined: Fri Dec 12, 2008 9:07 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by sibtain » Mon Jul 06, 2009 10:23 pm

SMF say better hey k app PHPBB ko joomla k sath integrate karen. or is k leye app ko both see extension mil jain ge.

Khanjee
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 5
Joined: Wed Aug 12, 2009 11:53 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Khanjee » Wed Aug 12, 2009 12:05 pm

i think ap forum IPB ka use kary aur flash chat waisay hi free may availble hay ap nay apni site per achi try ki hay but i think urdu font use karna chahye na k images

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Wed Aug 12, 2009 1:49 pm

Khanjee wrote:i think ap forum IPB ka use kary aur flash chat waisay hi free may availble hay ap nay apni site per achi try ki hay but i think urdu font use karna chahye na k images

Kyaa IPB secure hai?
kyaa SMF se database is meN import kee ja saktee hai?

Khanjee
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 5
Joined: Wed Aug 12, 2009 11:53 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Khanjee » Thu Aug 13, 2009 3:09 am

yes IPB Full secure hay may IPB ko guzastha 5 year say use kar raha ho aur us may modification buhat easy hay jaha tak bat hay smf ki database convert karnay ki jaha tak mujay yad hay ye ho jati the but i m not confirm may is per working karta ho agar posible howa tou may ap ko contact kar lo ga.

Khanjee
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 5
Joined: Wed Aug 12, 2009 11:53 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Khanjee » Thu Aug 13, 2009 3:17 am

sorry fo quick reply again


Please check this link i think ap ki problem solve ho jay gi thanks

http://www.invisionpower.com/products/board/convert.php

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Wed Dec 02, 2009 3:23 am

Khanjee: takheer ke liye bohat bohat bohat ma'azrat khwaah hooN.
aap se ek aur sawaal. IPB database meN topics aur posts kee limit kahaN se pata chale gii?

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Wed Dec 02, 2009 3:43 am

Khanjee wrote:yes IPB Full secure hay may IPB ko guzastha 5 year say use kar raha ho aur us may modification buhat easy hay jaha tak bat hay smf ki database convert karnay ki jaha tak mujay yad hay ye ho jati the but i m not confirm may is per working karta ho agar posible howa tou may ap ko contact kar lo ga.
kyaa IPB free meN available hai? isliye keh maiN forum free of cost use karna chah rahi hooN yahi wajah hai keh pichle 5 saal se SMF use kar rahi hooN.

Khanjee
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 5
Joined: Wed Aug 12, 2009 11:53 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Khanjee » Wed Dec 02, 2009 3:18 pm

Database may say limit kaha say pata chalay gi may is bat ko samjha nahi thora clearly batay kahna kaya chah rahi hay.

invision purchase karna parta hay is k null version b availble hay agar ap waisay b chalana chahy buhat sary log aisay hi chala rahay hay license ka faida ye hota hay modification milti rahti hay aur problem aye tou wo solve kar daity hay.


ye solution ap ko waisay hi provide kar diya jay ga inshAllah

Raji
Joomla! Intern
Joomla! Intern
Posts: 52
Joined: Mon Feb 04, 2008 10:26 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Raji » Thu Dec 03, 2009 3:14 am

Khanjee wrote:Database may say limit kaha say pata chalay gi may is bat ko samjha nahi thora clearly batay kahna kaya chah rahi hay.

invision purchase karna parta hay is k null version b availble hay agar ap waisay b chalana chahy buhat sary log aisay hi chala rahay hay license ka faida ye hota hay modification milti rahti hay aur problem aye tou wo solve kar daity hay.


ye solution ap ko waisay hi provide kar diya jay ga inshAllah
Database meN limit ka matlab ek table ke andar number of records kee kitnee limit hai?
smf ka forum maiN 5 saal se chala rahi hooN lekin slow connection meN forum access karne meN problem ho rahi hai.
hosting company ka kehna hai keh aap kee database heavy hai aap puraane data ko archive kar leN aur forum par images kee ta'adaad kam kar leN.

mujhe ek member ne kaha keh VBullliton par yeh issue naheN aate heN lekin maiN cost afford naheN kar saktee. SMF maiN free version use kar rahi hooN aur site par technical support bohat jald mil jaatee hai phir woh upgrade karne ke liye hamare admin panel meN hee patches bhejhte heN isliye binaa kisee issue ke woh ba-aasaani upgrading ho jaatee hai.
agar IPB bhi kuch iss taraH kee facility provide kartee hai tu maiN tarjeeH dooNgii.

Khanjee
Joomla! Apprentice
Joomla! Apprentice
Posts: 5
Joined: Wed Aug 12, 2009 11:53 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by Khanjee » Thu Dec 03, 2009 4:15 am

Limit ka koi issue nahi hay may ap ko buhat sari website dekha sakta ho jaha per 3 4 lack b post pari hay aur forum ki speed may koi issue nahi hay. sirf ap ko apni security ko update karty rahna parta hay.

is k jo modules hay in ki apni website per atay hay kuch log payment mangty hay aur buhat sary log free daity hay in ki apni website say wohi download kar sakta hay jis k pas support license hota hay lakin kuch aur aisi website b hay jaha per wohi log submit karty hay aisay user k liye jin k pas support license nahi hota. waisay b internet ki dunaya may koi b chese ho free may dhondi ja sakti hay no matter.

IPB k module install karna bara easy hay wo kafi help daity hay. koi b beginer un ko install kar sakta hay. agar ap test karna chahye koi chese PM me

rabbifarhi
Joomla! Fledgling
Joomla! Fledgling
Posts: 1
Joined: Sat Jun 02, 2012 5:30 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by rabbifarhi » Sat Jun 02, 2012 5:35 am

We knew that the article was so great and we have a good information to got and they always have a good and nice post.I will agree and fallow you done my friend.

Thank you Joomla,
-----------------
Jewish history and weekly torah portion

hirudo
I've been banned!
Posts: 24
Joined: Sat Apr 13, 2013 11:40 am

Re: Joomla 1.5.x ko Urdu Site banane ke liYe kuch sawalaat

Post by hirudo » Sat Jul 27, 2013 8:59 am

1.5 میں میں مسائل کی ایک بہت تھا!
میں اعلی ورژن پر منتقل کرنا چاہتے
آپ کی رائے کیا ہے؟
آپ کی مدد کے لئے شکریہ


Locked

Return to “Urdu Forum”